Kya aaye tum jo aaye ghadi do ghadi ke baad
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 31 chapter_title: Kya aaye tum jo aaye ghadi do ghadi ke baad chapter_slug: "31-kya-aaye-tum-jo-aaye-ghadi-do-ghadi-ke-baad" variant_id: "4f2c8d81-e3a6-44c1-b70b-1ba7d7e7a6f0" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 223 estimated_read_time: 1
Kya aaye tum jo aaye ghadi do ghadi ke baad Seene mein hogi saans udi do ghadi ke baad
Kya roka apne girye ko hum ne ke lag gayi Phir woh hi aansuon ki jhadi do ghadi ke baad
Koi ghadi agar woh mulaayam hue toh kya Keh baithenge phir ek kadi do ghadi ke baad
Us laal-e-lab ke hum ne liye bose is qadar Sab ud gayi missi ki dhadi do ghadi ke baad
Allah re zoaf-e-seena se har aah-e-be-asar Lab tak jo pahunchi bhi toh chadhi do ghadi ke baad
Kal us se hum ne tark-e-mulaqat ki toh kya Phir us baghair kal na padi do ghadi ke baad
The do ghadi se Sheikh ji shekhi baghaarte Saari woh shekhi un ki jhadi do ghadi ke baad
Kehta raha kuch us se adu do ghadi talak Ghammaz ne phir aur jadi do ghadi ke baad
Parwana gird shama ke shab do ghadi raha Phir dekhi us ki khaak padi do ghadi ke baad
Tu do ghadi ka vaada na kar dekh jald aa Aane mein hogi der badi do ghadi ke baad
Go do ghadi tak us ne na dekha idhar toh kya Aakhir hamein se aankh ladi do ghadi ke baad
Kya jaane do ghadi woh rahe Zauq kis tarah Phir toh na thehre paaon ghadi do ghadi ke baad