Laayi hayaat aaye qaza le chali chale
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 32 chapter_title: Laayi hayaat aaye qaza le chali chale chapter_slug: "32-laayi-hayaat-aaye-qaza-le-chali-chale" variant_id: "d4e9e4b5-34d2-4125-9365-13a0b74e914f" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 127 estimated_read_time: 1
Laayi hayaat aaye qaza le chali chale Apni khushi na aaye na apni khushi chale
Ho umr-e-Khizr bhi to ho maloom waqt-e-marg Hum kya rahe yahan abhi aaye abhi chale
Hum se bhi is bisaat pe kam honge bad-qimaar Jo chaal hum chale so nihaayat buri chale
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lage Par kya karein jo kaam na be-dil-lagi chale
Laila ka naqa dasht mein taseer-e-ishq se Sun kar fighaan-e-Qais bajaaye-hudi chale
Naazaan na ho khirad pe jo hona hai ho wahi Daanish teri na kuch meri daanish-wari chale
Duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath Tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
Jaate hawaa-e-shauq mein hain is chaman se 'Zauq' Apni bala se baad-e-saba ab kabhi chale