Ishrat-e-qatra hai darya mein fana ho jaana
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 86 chapter_title: "Ishrat-e-qatra hai darya mein fana ho jaana" chapter_slug: "86-ishrat-e-qatra-hai-darya-mein-fana-ho-jaana" variant_id: "c5fee336-e5ce-4de8-80fe-b87e774f5835" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 145 estimated_read_time: 1
Ishrat-e-qatra hai darya mein fana ho jaana Dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana
Tujh se qismat mein meri soorat-e-qufl-e-abjad Tha likha baat ke bante hi juda ho jaana
Dil hua kashmakash-e-chaara-e-zehmat mein tamaam Mit gaya ghisne mein uss uqde ka wa ho jaana
Ab jafa se bhi hain mehroom hum Allah Allah Iss qadar dushman-e-arbab-e-wafa ho jaana
Zo'f se girya mubaddal ba-dam-e-sard hua Baawar aaya humein paani ka hawa ho jaana
Dil se mitna teri angusht-e-hinai ka khayaal Ho gaya gosht se naakhun ka juda ho jaana
Hai mujhe abr-e-bahaari ka baras kar khulna Rote rote gham-e-furqat mein fana ho jaana
Gar nahin nikhat-e-gul ko tere kooche ki hawas Kyun hai gard-e-rah-e-jaulaan-e-saba ho jaana
Bakhshe hai jalwa-e-gul zauq-e-tamasha Ghalib Chashm ko chahiye har rang mein wa ho jaana
Ta ke tujh par khule i'jaaz-e-hawa-e-saiqal Dekh barsaat mein sabz aaine ka ho jaana