Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Jaada-e-rah khur ko waqt-e-shaam hai taar-e-shuaa

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 87 chapter_title: "Jaada-e-rah khur ko waqt-e-shaam hai taar-e-shuaa" chapter_slug: "87-jaada-e-rah-khur-ko-waqt-e-shaam-hai-taar-e-shuaa" variant_id: "709a9c53-4804-4937-93a2-43fa05520e58" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 67 estimated_read_time: 1

    Jaada-e-rah khur ko waqt-e-shaam hai taar-e-shuaa Charkh vaa karta hai maah-e-nau se aaghosh-e-vidaa

    Shama se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan Shola-e-aawaz-e-khoobaan par ba-hangaam-e-samaa

    Jyun par-e-taaoos jauhar takhta-e-mashq-e-rang hai Bas ke hai woh qibla-e-aaina mehv-e-ikhtiraa

    Ranjish-e-hairat-sirishtaan seena-saafi peshkash Jauhar-e-aaina hai yaan gard-e-maidan-e-nizaa

    Chaar soo-e-dehr mein bazaar-e-ghaflat garam hai Aql ke nuqsaan se uthta hai khayal-e-intefaa

    Aashna Ghalib nahin hain dard-e-dil ke aashna Varna kis ko mere afsaane ki taab-e-istemaa