Jab ba-taqreeb-e-safar yaar ne mehmil baandha
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 88 chapter_title: "Jab ba-taqreeb-e-safar yaar ne mehmil baandha" chapter_slug: "88-jab-ba-taqreeb-e-safar-yaar-ne-mehmil-baandha" variant_id: "8019d013-c1c6-40b4-bec4-8a25492fcd7c" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 134 estimated_read_time: 1
Jab ba-taqreeb-e-safar yaar ne mehmil baandha Tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil baandha
Ahl-e-beenish ne ba-hairat-kada-e-shokhi-e-naaz Jauhar-e-aaina ko tooti-e-bismil baandha
Yaas o ummeed ne yak-arbada maidaan maanga Ajz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-saail baandha
Na bandhe tashnagi-e-zauq ke mazmoon Ghalib Garche dil khol ke dariya ko bhi saahil baandha
Istilahaat-e-aseeran-e-taghaful mat poochh Jo girah aap na kholi use mushkil baandha
Yaar ne tashnagi-e-shauq ke mazmoon chaahe Hum ne dil khol ke dariya ko bhi saahil baandha
Tapish-e-aaina parwaaz-e-tamanna laayi Naama-e-shauq ba-haal-e-dil-e-bismil baandha
Deeda ta-dil hai yak-aaina charaaghaan kis ne Khalwat-e-naaz pe pairaaya-e-mehfil baandha
Na-umeedi ne ba-taqreeb-e-mazaamin-e-khumaar Koocha-e-mauj ko khamyaaza-e-saahil baandha
Mutrib-e-dil ne mere taar-e-nafas se Ghalib Saaz par rishta paye naghma-e-Bedil baandha
Na-tawaani hai tamashaayi-e-umr-e-rafta Rang ne aaina aankhon ke muqaabil baandha
Nok-e-har-khaar se tha bas-ke sar-e-duzdi-e-zakhm Chun namad hum ne kaf-e-pa pe Asad dil baandha