Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 36 chapter_title: "Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai" chapter_slug: "36-dil-e-naadaan-tujhe-hua-kya-hai" variant_id: "0721304c-592a-4cb8-95bf-28fb564a5877" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 129 estimated_read_time: 1
Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai Aakhir is dard ki dawa kya hai
Hum hain mushtaaq aur woh bezaar Ya Ilaahi yeh maajra kya hai
Main bhi munh mein zabaan rakhta hoon Kaash poochho ke mudda'a kya hai
Jab ke tujh bin nahin koi maujood Phir yeh hangaama, ae Khuda, kya hai
Yeh pari-chehra log kaise hain Ghamza-o-ishwa-o-adaa kya hai
Shikan-e-zulf-e-ambareen kyun hai Nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
Sabza-o-gul kahan se aaye hain Abr kya cheez hai, hawa kya hai
Hum ko un se wafa ki hai ummeed Jo nahin jaante wafa kya hai
Haan bhala kar tera bhala hoga Aur darvesh ki sada kya hai
Jaan tum par nisaar karta hoon Main nahin jaanta dua kya hai
Maine maana ke kuchh nahin 'Ghalib' Muft haath aaye toh bura kya hai