Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 163 chapter_title: "Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya" chapter_slug: "163-phir-mujhe-deeda-e-tar-yaad-aaya" variant_id: "86274251-70e8-450d-af40-5bf5a3118655" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 123 estimated_read_time: 1
Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya Dil jigar tishna-e-faryad aaya
Dam liya tha na qayamat ne hanoz Phir tera waqt-e-safar yaad aaya
Saadgi-haaye-tamanna yaani Phir woh nairang-e-nazar yaad aaya
Uzr-e-waamandagi ae hasrat-e-dil Naala karta tha jigar yaad aaya
Zindagi yoon bhi guzar hi jaati Kyun tera raah-guzar yaad aaya
Kya hi Rizwan se ladaai hogi Ghar tera khuld mein gar yaad aaya
Aah woh jurrat-e-faryad kahan Dil se tang aa ke jigar yaad aaya
Phir tere koocha ko jaata hai khayal Dil-e-gum-gashta magar yaad aaya
Koi veerani si veerani hai Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
Main ne Majnun pe ladakpan mein 'Asad' Sang uthaya tha ke sar yaad aaya
Vasl mein hijr ka darr yaad aaya Ain jannat mein saqar yaad aaya