Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Phir kuchh ik dil ko be-qaraari hai

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 162 chapter_title: "Phir kuchh ik dil ko be-qaraari hai" chapter_slug: "162-phir-kuchh-ik-dil-ko-be-qaraari-hai" variant_id: "1ad619de-d4d8-482f-acc0-027ab869b55a" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 119 estimated_read_time: 1

    Phir kuchh ik dil ko be-qaraari hai Seena joya-e-zakhm-e-kaari hai

    Phir jigar khodne laga naakhun Aamad-e-fasl-e-laala-kaari hai

    Qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz Phir wohi parda-e-amaari hai

    Chashm dallaal-e-jins-e-ruswaai Dil kharidaar-e-zauq-e-khwaari hai

    Wohi sad-rang naala-farsaai Wohi sad-goona ashk-baari hai

    Dil hawa-e-khiraam-e-naaz se phir Mehsharistaan-e-beqaraari hai

    Jalwa phir arz-e-naaz karta hai Roz bazaar-e-jaan-sipaari hai

    Phir usi be-wafa pe marte hain Phir wohi zindagi hamaari hai

    Phir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz Garm-bazaar-e-faujdaari hai

    Ho raha hai jahaan mein andher Zulf ki phir sarishta-daari hai

    Phir diya paara-e-jigar ne sawaal Ek faryaad o aah-o-zaari hai

    Phir hue hain gawaah-e-ishq talab Ashk-baari ka hukm-jaari hai

    Dil o mizhgaan ka jo muqaddama tha Aaj phir uss ki roobkaari hai

    Be-khudi be-sabab nahin Ghalib Kuchh to hai jis ki parda-daari hai