Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Bang-E-Dara Part 1

    Bang-E-Dara Part 1

    Ek Pahar aur Gilehri

    Allama Iqbal

    transliterator: thothica

    work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 21 chapter_title: Ek Pahar aur Gilehri chapter_slug: "21-ek-pahar-aur-gilehri" variant_id: "9b618924-aee1-49db-84af-0707ef20b658" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 217 estimated_read_time: 1

    Ek Pahar aur Gilehri (Ek Pahar aur Gilehri)

    Koi Pahar yeh kehta tha ik gilehri se Tujhe ho sharam to paani mein ja ke doob mare Zara si cheez hai, is par ghuroor, kya kehna Yeh aql aur yeh samajh, yeh shaoor, kya kehna !

    Khuda ki shaan hai naacheez cheez ban baithein Jo be shaoor hon yoon baatameez ban baithein Teri bisaat hai kya meri shaan ke aage Zameen hai past meri aan baan ke aage Jo baat mujh mein hai, tujh ko woh hai naseeb kahan Bhala pahar kahan jaanwar ghareeb kahan !

    Kaha yeh sun ke gilehri ne, munh sambhaal zara Yeh kachi baatein hain dil se unhein nikaal zara Jo main badi nahin teri tarah to kya parwa Nahin hai tu bhi to aakhir meri tarah chhota Har ek cheez se paida khuda ki qudrat hai Koi bada, koi chhota, yeh us ki hikmat hai Bada jahan mein tujh ko bana diya us ne Mujhe darakht pe charhna sikha diya us ne Qadam uthane ki taaqat nahin zara tujh mein Niri badai hai, khoobi hai aur kya tujh mein Jo tu bada hai to mujh sa hunar dikha mujh ko Yeh chhaaliya hi zara tod kar dikha mujh ko Nahin hai cheez nikammi koi zamaane mein Koi bura nahin qudrat ke kaarkhane mein