Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Zauq

    Diwan-E-Zauq

    hungaama garm hasti-e-na-paaidaar ka

    Sheikh Ibrahim Zauq

    transliterator: thothica

    work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 56 chapter_title: "hungaama garm hasti-e-na-paaidaar ka" chapter_slug: "56-hungaama-garm-hasti-e-na-paaidaar-ka" variant_id: "bf22d0be-d1eb-470c-9604-ddefdd397860" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 187 estimated_read_time: 1

    hungaama garm hasti-e-na-paaidaar ka chashmak hai barq ki ke tabassum sharaar ka

    main jo shaheed hoon lab-e-khandaan-e-yaar ka kya kya charaagh hansta hai mere mazaar ka

    ho raaz-e-dil na yaar se posheeda yaar ka parda na darmiyaan ho jo dil ke ghubaar ka

    us roo-e-taabnaak pe har qatra-e-araq goya ke ik sitaara hai subh-e-bahaar ka

    hai ain-e-vasl mein bhi meri chashm soo-e-dar lapka jo par gaya hai mujhe intezaar ka

    pahunchega tere paas kabootar se peshtar maktoob-e-shauq uraa ke tere be-qaraar ka

    ho paak-daamnon ko khalish gar se kya khatar khatka nahin nigaah ko mizhgaan ke khaar ka

    bujhne ki dil ki aag nahin zer-e-khaak bhi hoga darakht gor pe meri chanaar ka

    dekh apne dur-e-gosh ko aariz se muttasil dekha na ho sitaara jo subh-e-bahaar ka

    poochhe hai kya halaawat-e-talkhaaba-e-sarishk sharbat hai baagh-e-khuld-e-bareen ke anaar ka

    hai dil ki daao ghaat mein mizhgaan se chashm-e-yaar hai shauq us ki tatti ki ojhal shikaar ka

    qaasid likhoon lifaafa-e-khat ko ghubaar se ta jaane woh yeh khat hai kisi khaaksaar ka

    ae Zauq hosh gar hai to duniya se door bhaag us mai-kade mein kaam nahin hoshiyaar ka