Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Zauq

    Diwan-E-Zauq

    Neemcha yaar ne jis waqt baghal mein maara

    Sheikh Ibrahim Zauq

    transliterator: thothica

    work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 42 chapter_title: Neemcha yaar ne jis waqt baghal mein maara chapter_slug: "42-neemcha-yaar-ne-jis-waqt-baghal-mein-maara" variant_id: "21d06a70-2b0f-4f37-9319-5417b42c621c" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 216 estimated_read_time: 1

    Neemcha yaar ne jis waqt baghal mein maara Jo chadha munh use maidaan-e-ajal mein maara

    Maal jab us ne bohot radd-o-badal mein maara Hum ne dil apna utha apni baghal mein maara

    Is lab-o-chashm se hai zindagi-o-maut apni Ke kabhi pal mein jalaya kabhi pal mein maara

    Khench kar ishq-e-sitam-pesha ne shamsheer-e-jafa Pehle ik haath mujhi par tha azal mein maara

    Charkh-e-bad-been ki kabhi aankh na phooti sau baar Teer naale ne mere chashm-e-zuhal mein maara

    Ajal aayi na shab-e-hijr mein aur hum ko falak Be-ajal tu ne tamanna-e-ajal mein maara

    Ishq ke haath se ne Qais na Farhad bacha Us ko gar dasht mein toh us ko jabal mein maara

    Dil ko us kaakul-e-pechaan se na bal karna tha Yeh siyah-bakht gaya apne hi bal mein maara

    Kaun faryaad sune zulf mein dil ki tu ne Hai musalmaan ko kaafir ke amal mein maara

    Urs ki shab bhi meri gor pe do phool na laaye Patthar ik gumbad-e-turbat ke kanwal mein maara

    Aankh se aankh hai ladti mujhe dar hai dil ka Kahin yeh jaaye na is jang-o-jadal mein maara

    Hum ne jaana tha jabhi ishq ne maara us ko Tesha Farhad ne jis waqt jabal mein maara

    Na hua par na hua Meer ka andaaz naseeb Zauq yaaron ne bohot zor ghazal mein maara