Na karta zabt main naala to phir aisa dhuaan hota
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 39 chapter_title: Na karta zabt main naala to phir aisa dhuaan hota chapter_slug: "39-na-karta-zabt-main-naala-to-phir-aisa-dhuaan-hota" variant_id: "fee3595b-1ee7-49be-bef5-0c4386e0c4cf" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 194 estimated_read_time: 1
Na karta zabt main naala to phir aisa dhuaan hota Ke neeche aasmaan ke aur paida aasmaan hota Kahe hai murgh-e-dil ae kaash main zaagh-e-kamaan hota Ke ta shaakh-e-kamaan par uss ki mera aashiyan hota Abhi kya sard qaatil yeh shaheed-e-tafta-jaan hota Koi dam shama-e-murda mein bhi hai baaqi dhuaan hota Na hoti dil mein kaavish gar kisi ki nok-e-mizhgaan ki To kyun haq mein mere har moo-e-tan misl-e-sinaan hota Aza-daari mein hai kis ki yeh charkh-e-maatami-jaama Ke habeeb-e-chaak ki soorat hai khat-e-kehkashaan hota Bagola gar na hota vaadi-e-vahshat mein ae Majnoon To gumbad hum se sargashton ki turbat par kahan hota Jo rota khol kar dil tang-naaye-dehr mein aashiq To joo-e-kehkashaan mein bhi falak par khoon rawaan hota Na rakhta gar na rakhta munh pe yeh daana mareez-e-gham Magar tera mayassar bosa-e-khaal-e-dahaan hota Tere khooneen jigar ki khaak par hota agar sabza To mizhgaan ki tarah uss se bhi paiham khoon rawaan hota Rukaavat dil ki uss kaafir ke waqt-e-zibah zaahir hai Ke khanjar meri gardan par hai ruk ruk kar rawaan hota Na karta zabt main girya to ae Zauq ik ghadi bhar mein Katore ki tarah ghadiyaal ke gharq aasmaan hota