Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Zauq

    Diwan-E-Zauq

    Maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe

    Sheikh Ibrahim Zauq

    transliterator: thothica

    work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 35 chapter_title: "Maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe" chapter_slug: "35-maraz-e-ishq-jise-ho-use-kya-yaad-rahe" variant_id: "c0587e78-e0a9-4d02-8901-eb3d7fa94750" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 283 estimated_read_time: 2

    Maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe Na dawa yaad rahe aur na dua yaad rahe

    Tum jise yaad karo phir use kya yaad rahe Na khudaai ki ho parwa na khuda yaad rahe

    Laut'te saikdon nakhcheer hain kya yaad rahe Cheer do seene mein dil ko ke pata yaad rahe

    Raat ka waada hai bande se agar banda-nawaaz Band mein de lo girah ta ke zara yaad rahe

    Qasid-e-aashiq-e-sauda-zadah kya laaye jawaab Jab na maaloom ho ghar aur na pata yaad rahe

    Dekh bhi lena hamein raah mein aur kyun saahab Hum se munh pher ke jaana yeh bhala yaad rahe

    Tere madhosh se kya hosh-o-khirad ki ho umeed Raat ka bhi na jise khaaya hua yaad rahe

    Kushta-e-naaz ki gardan pe chhuri phero jab Kaash us waqt tumhein naam-e-khuda yaad rahe

    Khaak barbaad na karna meri is kooche mein Tujh se keh deta hoon main baad-e-saba yaad rahe

    Gor tak aaye toh chhaati pe qadam bhi rakh do Koi bedil idhar aaye toh pata yaad rahe

    Tera aashiq na ho aasooda ba-zer-e-tooba Khuld mein bhi tere kooche ki hawa yaad rahe

    Baaz aa jaaein jafa se jo kabhi aap toh phir Yaad aashiq ko na keejiye_ga bhala yaad rahe

    Daagh-e-dil par mere phaaha nahin hai angaara Chaara-gar leejo na chutki se utha yaad rahe

    Zakhm-e-dil bole mere dil ke namak-khwaaron se Lo bhala kuch toh mohabbat ka maza yaad rahe

    Hazrat-e-ishq ke maktab mein hai taaleem kuch aur Yaan likha yaad rahe aur na padha yaad rahe

    Gar haqeeqat mein hai rehna toh na rakh khud-beeni Bhoole banda jo khudi ko toh khuda yaad rahe

    Aalam-e-husn khudaai hai buton ki ae Zauq Chal ke but-khaane mein baitho ke khuda yaad rahe