Kisi be-kas ko ae bidaad-gar maara toh kya maara
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 29 chapter_title: "Kisi be-kas ko ae bidaad-gar maara toh kya maara" chapter_slug: "29-kisi-be-kas-ko-ae-bidaad-gar-maara-toh-kya-maara" variant_id: "f5cb4f6d-ac7b-4a68-9a29-856aeba1c385" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 225 estimated_read_time: 2
Kisi be-kas ko ae bidaad-gar maara toh kya maara Jo aap hi mar raha ho uss ko gar maara toh kya maara
Na maara aap ko jo khaak ho akseer ban jaata Agar paare ko ae akseer-gar maara toh kya maara
Bade moozi ko maara nafs-e-ammara ko gar maara Nehang o azhdaha o sher-e-nar maara toh kya maara
Khata toh dil ki thi qaabil bohot si maar khaane ke Teri zulfon ne mushkein baandh kar maara toh kya maara
Nahin woh qaul ka sachcha hamesha qaul de de kar Jo uss ne haath mere haath par maara toh kya maara
Tufang o teer toh zaahir na tha kuch paas qaatil ke Ilaahi uss ne dil ko taak kar maara toh kya maara
Hansi ke saath yaan rona hai misl-e-qulqul-e-meena Kisi ne qahqaha ae be-khabar maara toh kya maara
Mere aansu hamesha hain ba-rang-e-laal-e-gharq-e-khoon Jo ghota aab mein tu ne gauhar maara toh kya maara
Jigar dil donon pehlu mein hain zakhmi uss ne kya jaane Idhar maara toh kya maara udhar maara toh kya maara
Gaya shaitaan maara ek sajda ke na karne mein Agar laakhon baras sajde mein sar maara toh kya maara
Dil-e-sangeen-e-khusrau par bhi zarb ae koh-kan pahunchi Agar tesha sar-e-kohsaar par maara toh kya maara
Dil-e-bad-khwaah mein tha maarna ya chashm-e-bad-been mein Falak par Zauq teer-e-aah gar maara toh kya maara