Darya-e-ashk chashm se jis aan beh gaya
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 13 chapter_title: "Darya-e-ashk chashm se jis aan beh gaya" chapter_slug: "13-darya-e-ashk-chashm-se-jis-aan-beh-gaya" variant_id: "1171d09b-ef04-41e0-9025-05cf71d8d861" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 133 estimated_read_time: 1
Darya-e-ashk chashm se jis aan beh gaya Sun lijiyo ke arsh ka aivaan beh gaya
Bal-e-be-gudaaz-e-ishq ke khoon ho ke dil ke saath Seene se tere teer ka paikaan beh gaya
Zaahid sharaab peene se kaafir hua main kyun Kya dedh chullu paani mein imaan beh gaya
Hai mauj-e-bahr-e-ishq woh toofaan ke al-hafeez Bechaara musht-e-khaak tha insaan beh gaya
Darya-e-ashk se dam-e-tehreer haal-e-dil Kashti ki tarah mera qalam-daan beh gaya
Yeh roye phoot phoot ke paani ke aablay Naala sa ek soo-e-bayaabaan beh gaya
Tha tu baha mein besh par us lab ke saamne Sab mol tera laal-e-badakhshaan beh gaya
Kashti sawaar-e-umr hoon bahr-e-fana mein Zauq Jis dam baha ke le gaya toofaan beh gaya
Tha Zauq pehle Dehli mein Punjab ka sa husn Par ab woh paani kehte hain Multan beh gaya