Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Zauq

    Diwan-E-Zauq

    Chashm-e-qaatil humein kyonkar na bhala yaad rahe

    Sheikh Ibrahim Zauq

    transliterator: thothica

    work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 11 chapter_title: "Chashm-e-qaatil humein kyonkar na bhala yaad rahe" chapter_slug: "11-chashm-e-qaatil-humein-kyonkar-na-bhala-yaad-rahe" variant_id: "10d34ce5-ec48-475c-866a-1740624cdb9b" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 213 estimated_read_time: 1

    Chashm-e-qaatil humein kyonkar na bhala yaad rahe Maut insaan ko laazim hai sadaa yaad rahe

    Mera khoon hai tere kooche mein baha yaad rahe Yeh bahaa woh nahin jis ka na bahaa yaad rahe

    Kushta-e-zulf ke marqad pe tu ae Laila-vash Beid-e-Majnoon hi lagaa taake pataa yaad rahe

    Khaaksaari hai ajab vasf ke jyon jyon ho siwaa Ho safaa aur dil-e-ahl-e-safaa yaad rahe

    Ho yeh labbaik-e-haram ya yeh azaan-e-masjid Mai-kasho qulqul-e-meena ki sadaa yaad rahe

    Yaad us waada-faraamosh ne ghairon se badi Yaad kuchh kam toh na thi aur siwaa yaad rahe

    Khat bhi likhte hain toh lete hain khataai kaaghaz Dekhiye kab tak unhein meri khataa yaad rahe

    Do warq mein kaf-e-hasrat ke do aalam ka hai ilm Sabaq-e-ishq agar tujh ko dilaa yaad rahe

    Qatl-e-aashiq pe kamar baandhi hai ae dil us ne Par khuda hai ke usey naam mera yaad rahe

    Taair-e-qibla-numa ban ke kahaa dil ne mujhe Ke tadap kar yoon hi mar jaayega jaa yaad rahe

    Jab yeh deen-daar hain duniya ki namazein padhte Kaash us waqt unhein naam-e-khuda yaad rahe

    Hum pe sau baar jafaa ho toh rakho ek na yaad Bhool kar bhi kabhi howe toh wafaa yaad rahe

    Mehv itna bhi na ho ishq-e-butaan mein ae Zauq Chahiye bande ko har waqt khuda yaad rahe