Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Jis bazm mein tu naaz se guftaar mein aave

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 92 chapter_title: Jis bazm mein tu naaz se guftaar mein aave chapter_slug: "92-jis-bazm-mein-tu-naaz-se-guftaar-mein-aave" variant_id: "df9cc0f1-46d8-4261-b850-2cb151a1db02" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 145 estimated_read_time: 1

    Jis bazm mein tu naaz se guftaar mein aave Jaan kaalbad-e-soorat-e-deewar mein aave

    Saaya ki tarah saath phirein sarv-o-sanobar Tu us qadd-e-dilkash se jo gulzaar mein aave

    Tab naaz-e-giraan-maayagi-e-ashk baja hai Jab lakht-e-jigar deeda-e-khoon-baar mein aave

    De mujh ko shikaayat ki ijaazat ke sitamgar Kuchh tujh ko maza bhi mere aazaar mein aave

    Us chashm-e-fusoon-gar ka agar paaye ishaara Tooti ki tarah aaina guftaar mein aave

    Kaanton ki zubaan sookh gayi pyaas se Ya Rab Ik aabla-paa vaadi-e-pur-khaar mein aave

    Mar jaaoon na kyun rashk se jab woh tan-e-naazuk Aaghosh-e-kham-e-halqa-e-zunnaar mein aave

    Ghaarat-gar-e-naamoos na ho gar havas-e-zar Kyun shaahid-e-gul baagh se bazaar mein aave

    Tab chaak-e-gareebaan ka maza hai dil-e-naalaan Jab ik nafas uljha hua har taar mein aave

    Aatish-kada hai seena mera raaz-e-nihaan se Ae waaye agar ma'araz-e-izhaar mein aave

    Ganjeena-e-ma'ani ka tilism us ko samajhiye Jo lafz ke Ghalib mere ash'aar mein aave