Jaur se baaz aaye par baaz aayein kya
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 91 chapter_title: Jaur se baaz aaye par baaz aayein kya chapter_slug: "91-jaur-se-baaz-aaye-par-baaz-aayein-kya" variant_id: "84b0f79d-ed5c-4385-9638-332d94de4a8b" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 101 estimated_read_time: 1
Jaur se baaz aaye par baaz aayein kya Kehte hain hum tujh ko munh dikhlayein kya
Raat din gardish mein hain saat aasmaan Ho rahega kuch na kuch ghabrayein kya
Laag ho toh uss ko hum samjhein lagaav Jab na ho kuch bhi toh dhoka khayein kya
Ho liye kyun naama-bar ke saath saath Ya Rab apne khat ko hum pahunchayein kya
Mauj-e-khoon sar se guzar hi kyun na jaaye Aastaan-e-yaar se uth jaayein kya
Umr bhar dekha kiya marne ki raah Mar gaye par dekhiye dikhlayein kya
Poochte hain woh ke 'Ghalib' kaun hai Koi batlao ke hum batlayein kya