Hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 69 chapter_title: "Hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho" chapter_slug: "69-hasad-se-dil-agar-afsurda-hai-garm-e-tamasha-ho" variant_id: "8f406212-5820-4b89-bdc6-f934bae52568" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 100 estimated_read_time: 1
Hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho Ke chashm-e-tang shayad kasrat-e-nazzara se wa ho Ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-ma'asi bhi Bharun yak-gosha-e-daaman gar aab-e-haft-darya ho Agar woh sarv-qad garm-e-khiraam-e-naaz aa jaave Kaf-e-har-khaak-e-gulshan shakl-e-qumri naala-farsa ho Baham baalidan-e-sang-o-gul-e-sehra yeh chahe hai Ke taar-e-jaada bhi kohsaar ko zunnar-e-meena ho Harif-e-wehshat-e-naaz-e-naseem-e-ishq jab aaun Ke misl-e-ghuncha saaz-e-yak-gulistan dil muhayya ho Bajaaye daana khirman yak-bayaabaan baiza-e-qumri Mera haasil woh nuskha hai ke jis se khaak paida ho Kare kya saaz-e-beenish woh shaheed-e-dard-aagahi Jise moo-e-dimaagh-e-bekhudi khwaab-e-Zulekha ho Dil-jun-shama behr-e-daawat-e-nazzara la-ya'ani Nigeh labrez-e-ashk o seena ma'moor-e-tamanna ho Na dekhein roo-e-yak-dil-sard ghair-az shama-e-kafoori Khudaya is qadar bazm-e-Asad garm-e-tamasha ho