Gham khaane mein boda dil-e-nakaam bahut hai
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 50 chapter_title: "Gham khaane mein boda dil-e-nakaam bahut hai" chapter_slug: "50-gham-khaane-mein-boda-dil-e-nakaam-bahut-hai" variant_id: "4502f4f6-abf8-4583-958e-bf7576dafc0a" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 137 estimated_read_time: 1
Gham khaane mein boda dil-e-nakaam bahut hai Yeh ranj ke kam hai mai-e-gulfaam bahut hai
Kehte hue saaqi se haya aati hai warna Hai yoon ke mujhe dard-e-tah-e-jaam bahut hai
Ne teer kamaan mein hai na sayyad kameen mein Goshe mein qafas ke mujhe aaram bahut hai
Kya zohd ko maanoon ke na ho garche riyaai Paadaash-e-amal ki tama-e-khaam bahut hai
Hain ahl-e-khirad kis rawish-e-khaas pe naazaan Paabastagi-e-rasm-o-rah-e-aam bahut hai
Zamzam hi pe chhoro mujhe kya tauf-e-haram se Aalooda-ba-mai jaama-e-ehraam bahut hai
Hai qehar gar ab bhi na bane baat ke un ko Inkaar nahin aur mujhe ibraam bahut hai
Khoon ho ke jigar aankh se tapka nahin ae marg Rehne de mujhe yaan ke abhi kaam bahut hai
Hoga koi aisa bhi ke Ghalib ko na jaane Shayar toh woh achha hai pe badnaam bahut hai