Ghaafil ba-vehm-e-naaz khud-aara hai varna yaan
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 48 chapter_title: "Ghaafil ba-vehm-e-naaz khud-aara hai varna yaan" chapter_slug: "48-ghaafil-ba-vehm-e-naaz-khud-aara-hai-varna-yaan" variant_id: "c750eed4-e11a-4127-a431-fb52208b4053" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 101 estimated_read_time: 1
Ghaafil ba-vehm-e-naaz khud-aara hai varna yaan Be-shaana-e-saba nahi turra-e-giyaah ka
Bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ke rang Said-ze-daam-jasta hai is daam-gaah ka
Rahmat agar qubool kare kya ba'eed hai Sharmindagi se uzr na karna gunaah ka
Maqtal ko kis nishaat se jaata hoon main ke hai Pur-gul khayal-e-zakhm se daaman-e-nigaah ka
Jaan dar-hawaa-e-yak-nigah-e-garm hai Asad Parwaana hai vakeel tere daad-khwaah ka
Uzlat-gazeen-e-bazm hain waamandgaan-e-deed Meena-e-mai hai aabla-e-paa-e-nigaah ka
Har gaam aablay se hai dil dar-tah-e-qadam Kya beem ahl-e-dard ko sakhti-e-raah ka
Taa'oos-dar-rikaab hai har zarra aah ka Yaarab nafas ghubaar hai kis jalwa-gaah ka
Jaib-e-niyaaz-e-ishq nishaan-daar-e-naaz hai Aaina hoon shikastan-e-tarf-e-kulaah ka