Gar na andoh-e-shab-e-furqat bayaan ho jaaye-ga
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 45 chapter_title: "Gar na andoh-e-shab-e-furqat bayaan ho jaaye-ga" chapter_slug: "45-gar-na-andoh-e-shab-e-furqat-bayaan-ho-jaaye-ga" variant_id: "3b5ecc4d-de4e-4330-aacc-fd85b011bd81" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 172 estimated_read_time: 1
Gar na andoh-e-shab-e-furqat bayaan ho jaaye-ga Be-takalluf daagh-e-mah mehr-e-dahan ho jaaye-ga
Zohra gar aisa hi shaam-e-hijr mein hota hai aab Partav-e-mahtaab sail-e-khanmaan ho jaaye-ga
Le to loon sote mein us ke paanv ka bosa magar Aisi baaton se woh kaafir bad-gumaan ho jaaye-ga
Dil ko hum sarf-e-wafa samjhe the kya maaloom tha Yaani yeh pehle hi nazr-e-imtehaan ho jaaye-ga
Sab ke dil mein hai jagah teri jo tu raazi hua Mujh pe goya ik zamaana meherbaan ho jaaye-ga
Gar nigaah-e-garm farmaati rahi taaleem-e-zabt Shola khas mein jaise khoon rag mein nihaan ho jaaye-ga
Baagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par Har gul-e-tar ek chashm-e-khoon-fishaan ho jaaye-ga
Waaye gar mera tera insaaf mehshar mein na ho Ab talak to yeh tavaqqo hai ke waan ho jaaye-ga
Faayda kya soch aakhir tu bhi daana hai 'Asad' Dosti naadaan ki hai jee ka ziyaan ho jaaye-ga
Gar woh mast-e-naaz deve ga salaaye-arz-e-haal Khaar-e-gul behr-e-dahan-e-gul zabaan ho jayega
Gar shahaadat aarzoo hai nashe mein gustaakh ho Baal sheeshe ka rag-e-sang-e-fasaan ho jayega