Dil laga kar lag gaya unko bhi tanha baithna
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 34 chapter_title: Dil laga kar lag gaya unko bhi tanha baithna chapter_slug: "34-dil-laga-kar-lag-gaya-unko-bhi-tanha-baithna" variant_id: "292e878c-a008-476d-b911-f13a4d7542de" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 74 estimated_read_time: 1
Dil laga kar lag gaya unko bhi tanha baithna Baare apni bekasi ki hum ne paayi daad yaan
Hain zawaal-aamada ajza aafreenish ke tamaam Mehr-e-gardoon hai charaagh-e-rah-guzaar-e-baad yaan
Hai tarahhum-aafreen aaraaish-e-bedaad yaan Ashk-e-chashm-e-daam hai har daana-e-sayyaad yaan
Hai gudaaz-e-mom andaaz-e-chakeedan-haaye-khoon Neesh-e-zanboor-asl hai nishtar-e-fassad yaan
Na-gawaara hai hamein ehsaan-e-saahib-daulataan Hai zar-e-gul bhi nazar mein jauhar-e-faulaad yaan
Jumbish-e-dil se hue hain uqda-haaye-kaar waa Kamtareen mazdoor-e-sangeen-dast hai Farhaad yaan
Qatra-haaye-khoon-e-bismil zeb-e-daamaan hain Asad Hai tamaasha-e-kardani gul-cheeni-e-jallaad yaan