Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Dhamki mein mar gaya jo na baab-e-nabard tha

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 32 chapter_title: "Dhamki mein mar gaya jo na baab-e-nabard tha" chapter_slug: "32-dhamki-mein-mar-gaya-jo-na-baab-e-nabard-tha" variant_id: "d544da2b-8422-43b3-a6c5-e0caed345dbb" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 91 estimated_read_time: 1

    Dhamki mein mar gaya jo na baab-e-nabard tha Ishq-e-nabard-pesha talab-gaar-e-mard tha

    Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua Udne se peshtar bhi mera rang zard tha

    Taaleef nuskha-haaye-wafa kar raha tha main Majmua-e-khayal abhi fard fard tha

    Dil ta jigar ke sahil-e-dariya-e-khoon hai ab Us reh-guzar mein jalwa-e-gul aage gard tha

    Jaati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki Dil bhi agar gaya toh wohi dil ka dard tha

    Ahbaab chaara-saazi-e-wehshat na kar sake Zindaan mein bhi khayal bayabaan-navard tha

    Yeh laash-e-be-kafan Asad-e-khasta-jaan ki hai Haq maghfirat kare ajab azaad mard tha