Dekhna qismat ke aap apne pe rashk aa jaaye hai
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 31 chapter_title: Dekhna qismat ke aap apne pe rashk aa jaaye hai chapter_slug: "31-dekhna-qismat-ke-aap-apne-pe-rashk-aa-jaaye-hai" variant_id: "f53bdcc5-f3df-42d1-901b-389417a2c3cb" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 175 estimated_read_time: 1
Dekhna qismat ke aap apne pe rashk aa jaaye hai Main usey dekhun bhala kab mujh se dekha jaaye hai
Haath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai Aabgeena tundi-e-sahba se pighla jaaye hai
Ghair ko ya Rab woh kyun kar mana-e-gustakhi kare Gar haya bhi uss ko aati hai toh sharma jaaye hai
Shauq ko yeh latt ke har dam naala kheenche jaaiye Dil ki woh haalat ke dam lene se ghabra jaaye hai
Door chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se waah waah Naghma ho jaata hai waan gar naala mera jaaye hai
Garchay hai tarz-e-taghaful parda-daar-e-raaz-e-ishq Par hum aise khoye jaate hain ke woh paa jaaye hai
Uss ki bazm-aaraaiyan sun kar dil-e-ranjoor yaan Misl-e-naqsh-e-mudda'a-e-ghair baitha jaaye hai
Ho ke aashiq woh pari-rukh aur naazuk ban gaya Rang khilta jaaye hai jitna ke udta jaaye hai
Naqsh ko uss ke musavvir par bhi kya kya naaz hain Kheenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaaye hai
Saaya mera mujh se misl-e-dood bhaage hai Asad Paas mujh aatish-bajaan ke kis se thehra jaaye hai