Dekh kar dar-parda garm-daaman-afshaani mujhe
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 30 chapter_title: "Dekh kar dar-parda garm-daaman-afshaani mujhe" chapter_slug: "30-dekh-kar-dar-parda-garm-daaman-afshaani-mujhe" variant_id: "56c0a8cc-7a6e-4c07-b7a6-1da3a89817c6" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 120 estimated_read_time: 1
Dekh kar dar-parda garm-daaman-afshaani mujhe Kar gayi waabasta-e-tan meri uryaani mujhe
Ban gaya tegh-e-nigaah-e-yaar ka sang-e-fasaan Marhaba main kya mubarak hai giraan-jaani mujhe
Kyun na ho be-iltifaati us ki khaatir jama hai Jaanta hai mehv-e-pursish-haaye-pinhaani mujhe
Mere gham-khaane ki qismat jab raqam hone lagi Likh diya minjumla-e-asbaab-e-veeraani mujhe
Bad-gumaan hota hai woh kaafir na hota kaash ke Is qadar zauq-e-nawa-e-murgh-e-bustaani mujhe
Waaye waan bhi shor-e-mehshar ne na dam lene diya Le gaya tha gor mein zauq-e-tan-aasaani mujhe
Waada aane ka wafa keeje yeh kya andaaz hai Tum ne kyun saunpi hai mere ghar ki darbaani mujhe
Haan nishaat-e-aamad-e-fasl-e-bahaari waah waah Phir hua hai taaza sauda-e-ghazal-khwaani mujhe
Di mere bhai ko Haq ne az_sar_e_nau zindagi Mirza Yusuf hai Ghalib Yusuf-e-saani mujhe