Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    sitaish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 233 chapter_title: "sitaish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka" chapter_slug: "233-sitaish-gar-hai-zahid-is-qadar-jis-bagh-e-rizwan-k" variant_id: "4123eda4-a03b-4935-a886-9c546d3413e6" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 186 estimated_read_time: 1

    sitaish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka woh ik guldasta hai hum be-khudon ke taaq-e-nisyaan ka

    bayaan kya keejiye bedaad-e-kawish-haaye-mizhgaan ka ke har yak qatra-e-khoon daana hai tasbeeh-e-marjaan ka

    na aayi satwat-e-qatil bhi maane' mere naalon ko liya daanton mein jo tinka hua resha neestaan ka

    dikhaaun-ga tamasha di agar fursat zamaane ne mera har daagh-e-dil ik tukhm hai sarv-e-charaghan ka

    kiya aaina-khaane ka woh naqsha tere jalwe ne kare jo partav-e-khursheed aalam shabnamistaan ka

    meri taameer mein muzmar hai ik soorat kharabi ki hayoola barq-e-khirman ka hai khoon-e-garm dehkaan ka

    uga hai ghar mein har su sabza, veerani tamasha kar madaar ab khodne par ghaas ke hai mere darbaan ka

    khamoshi mein nihaan khoon-gashta laakhon arzooen hain charagh-e-murda hoon main be-zubaan gor-e-ghareebaan ka

    hanoz ik partav-e-naqsh-e-khayal-e-yaar baaqi hai dil-e-afsurda goya hujra hai Yusuf ke zindaan ka

    baghal mein ghair ki aaj aap sote hain kahin warna sabab kya khwaab mein aa kar tabassum-haaye-pinhaan ka

    nahin maaloom kis kis ka lahu paani hua hoga qayamat hai sarishk-aalooda hona teri mizhgaan ka

    nazar mein hai hamari jaada-e-raah-e-fana Ghalib ke yeh shiraza hai aalam ke ajzaa-e-pareshan ka