shab-e-akhtar qadah-e-aish ne mehmil baandha
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 232 chapter_title: "shab-e-akhtar qadah-e-aish ne mehmil baandha" chapter_slug: "232-shab-e-akhtar-qadah-e-aish-ne-mehmil-baandha" variant_id: "2d2133a7-e8c3-4609-999b-fc1532e5346f" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 78 estimated_read_time: 1
shab-e-akhtar qadah-e-aish ne mehmil baandha ba-yak qaafila-e-aabla manzil baandha
subha-e-waamandagi-e-shauq-o-tamaasha manzoor jaada par zewar-e-sad aaina manzil baandha
zabt-e-girya gohar-e-aabla laaya aakhir paa-e-sad mauj toofaan-kada-e-dil baandha
haif ae nang-e-tamanna ke pay-e-arz-e-haya yak-araq aaina wajh-e-saail baandha
husn-e-aashuftagi-e-jalwa se arz-e-ejaaz dast-e-moo se ba-sar-e-daawa-e-baatil baandha
tapish-e-aaina pardaaz-e-tamanna laai naama-e-shauq ba-baal-e-par-e-bismil baandha
deeda ta dil hai yak aaina charaaghaan kis ne khalwat-e-naaz pe pairaaya-e-mehfil baandha
na-umeedi ne ba-taqreeb-e-mazaamin-e-khumaar koocha-e-mauj ko khamyaaza-e-saahil baandha
mutrib-e-dil ne mere taar-e-nafas se Ghalib saaz par rishta pay-e-naghma-e-Bedil baandha