Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Chashm-e-khoobaan khaamoshi mein bhi nawa-pardaaz hai

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 23 chapter_title: "Chashm-e-khoobaan khaamoshi mein bhi nawa-pardaaz hai" chapter_slug: "23-chashm-e-khoobaan-khaamoshi-mein-bhi-nawa-pardaaz-" variant_id: "45aac26b-b54c-4bc9-b995-cea28d8a14c5" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 74 estimated_read_time: 1

    Chashm-e-khoobaan khaamoshi mein bhi nawa-pardaaz hai Surma to kehve ke dood-e-sho'la-e-aawaaz hai

    Paikar-e-ushaaq saaz-e-taale'-e-na-saaz hai Naala goya gardish-e-sayyaara ki aawaaz hai

    Dast-gaah-e-deeda-e-khoon-baar-e-majnoon dekhna Yak-bayaabaan jalwa-e-gul farsh-e-paa-andaaz hai

    Chashm-e-khoobaan mai-farosh-e-nasha-zaar-e-naaz hai Surma goya mauj-e-dood-e-sho'la-e-aawaaz hai

    Hai sareer-e-khaama rezish-haaye-istaqbaal-e-naaz Naama khud paighaam ko baal-o-par-e-parwaaz hai

    Sarnawisht-e-iztiraab-anjaami-e-ulfat na poochh Naal-e-khaama khaar-khaar-e-khaatir-e-aaghaaz hai

    Shokhi-e-izhaar ghair-az-wehshat-e-majnoon naheen Laila-e-ma'ni Asad mehmil-nasheen-e-raaz hai

    Naghmah hai kaanon mein us ke naala-e-murgh-e-aseer Rishta-e-paa yaan nawa-saamaan-e-band-e-saaz hai

    Sharm hai tarz-e-talaash-e-intikhaab-e-yak-nigaah Iztiraab-e-chashm barpaa dokhta-e-ghammaz hai