dil mira soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 216 chapter_title: "dil mira soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya" chapter_slug: "216-dil-mira-soz-e-nihaan-se-be-muhaaba-jal-gaya" variant_id: "5b09c6ba-9f8c-4a4f-b60d-39afb7a596c6" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 145 estimated_read_time: 1
dil mira soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya
dil mein zauq-e-vasl o yaad-e-yaar tak baaqi nahin aag is ghar mein lagi aisi ke jo tha jal gaya
main adam se bhi parey hoon warna ghaafil baarha meri aah-e-aatisheen se baal-e-anqa jal gaya
arz keeje jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayaal aaya tha vehshat ka ke sehra jal gaya
dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghon ki bahaar is chiraaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya
main hoon aur afsurdagi ki aarzoo Ghalib ke dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya
khaanmaan-e-aashiqaan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho gaye garm-e-tamaasha jal gaya
ta kuja afsos-e-garmi-haaye-sohbat ae khayaal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya
hai Asad begaana-e-afsurdagi ae bekasi dil ze-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya
dood mera sunbulistaan se kare hai ham-sari baskeh shauq-e-aatish-e-gul se saraapa jal gaya
shama-rooyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar ghuncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya