gar tujh ko hai yaqeen-e-ijabat dua na maang
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 217 chapter_title: "gar tujh ko hai yaqeen-e-ijabat dua na maang" chapter_slug: "217-gar-tujh-ko-hai-yaqeen-e-ijabat-dua-na-maang" variant_id: "6bd63e11-2a53-4c5e-8950-ee631ee01ca9" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 99 estimated_read_time: 1
gar tujh ko hai yaqeen-e-ijabat dua na maang yaani baghair-e-yak-dil-e-be-mudda'a na maang
aata hai daagh-e-hasrat-e-dil ka shumaar yaad mujh se mere gunah ka hisaab ae khuda na maang
ae aarzoo shaheed-e-wafa khoon-baha na maang juz behr-e-dast-o-baazu-e-qaatil dua na maang
barham hai bazm-e-ghuncha ba-yak-jumbish-e-nishaat kaashaana bas ke tang hai ghaafil hawa na maang
main door gard-e-arz-e-rusoom-e-niyaaz hoon dushman samajh walay nigah-e-aashna na maang
yak-bakht auj nazr-e-subuk-baari-e-Asad sar par wabaal-e-saaya-e-baal-e-huma na maang
gustaakhi-e-wisaal hai mashaata-e-niyaaz yaani dua bajuz kham-e-zulf-e-dota na maang
Isa tilism-e-husn-e-taghaaful hai zeenhaar juz pusht-e-chashm nuskha-e-arz-e-dawa na maang
nazaara deegar o dil-e-khooneen nafas digar aaina dekh jauhar-e-barg-e-hina na maang