Tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poocho
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 193 chapter_title: Tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poocho chapter_slug: "193-tum-apne-shikwe-ki-baatein-na-khod-khod-ke-poocho" variant_id: "88a96ad6-542d-41e5-b9ef-cbe1a23d5fe0" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 92 estimated_read_time: 1
Tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poocho Hazar karo mere dil se ke is mein aag dabi hai
Dila yeh dard-o-alam bhi to mughtanam hai ke aakhir Na girya-e-sehri hai na aah-e-neem-shabi hai
Nazar ba-nuqs-e-gadayaan kamaal-e-be-adabi hai Ke khaar-e-khushk ko bhi daawa-e-chaman-nasabi hai
Hua wisaal se shauq-e-dil-e-harees ziyaada Lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai
Khusha woh dil ke saraapa tilism-e-be-khabri ho Junoon o yaas o alam rizq-e-mudda'a-talabi hai
Chaman mein kis ke yeh barham hui hai bazm-e-tamasha Ke barg barg-e-saman sheesha reza-e-halabi hai
Imam-e-zahir-o-baatin ameer-e-soorat-o-ma'ani Ali Wali Asadullah jaanasheen-e-Nabi hai