Tere tausan ko saba baandhte hain
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 191 chapter_title: Tere tausan ko saba baandhte hain chapter_slug: "191-tere-tausan-ko-saba-baandhte-hain" variant_id: "4c84d989-65c3-4a6f-a5aa-9e4fc45559d4" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 149 estimated_read_time: 1
Tere tausan ko saba baandhte hain Hum bhi mazmoon ki hawa baandhte hain
Aah ka kis ne asar dekha hai Hum bhi ek apni hawa baandhte hain
Teri fursat ke muqabil ae umr Barq ko pa-ba-hina baandhte hain
Qaid-e-hasti se rihaai maloom Ashk ko be-sar-o-pa baandhte hain
Nasha-e-rang se hai waashud-e-gul Mast kab band-e-qaba baandhte hain
Ghalati-haaye-mazaameen mat pooch Log naale ko rasa baandhte hain
Ahl-e-tadbeer ki waamaandagiyaan Aablon par bhi hina baandhte hain
Saada purkaar hain khoobaan Ghalib Hum se paimaan-e-wafa baandhte hain
Paaon mein jab woh hina baandhte hain Mere haathon ko juda baandhte hain
Husn-e-afsurda-dili-ha-e-rangeen Shauq ko pa-ba-hina baandhte hain
Qaid mein bhi hai aseeri aazaad Chashm-e-zanjeer ko wa baandhte hain
Shaikh-ji Kaabe ka jaana maloom Aap masjid mein gadha baandhte hain
Kis ka dil zulf se bhaaga ke Asad Dast-e-shaana ba-qazaa baandhte hain
Tere beemaar pe hain faryaadi Woh jo kaaghaz mein dawa baandhte hain