Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Safaa-e-hairat-e-aaina hai saamaan-e-zang aakhir

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 176 chapter_title: "Safaa-e-hairat-e-aaina hai saamaan-e-zang aakhir" chapter_slug: "176-safaa-e-hairat-e-aaina-hai-saamaan-e-zang-aakhir" variant_id: "38266480-0ab9-412e-b8bc-9bf43bce9efb" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 82 estimated_read_time: 1

    Safaa-e-hairat-e-aaina hai saamaan-e-zang aakhir Taghayyur aab-e-bar-ja-maandah ka paata hai rang aakhir Na ki saamaan-e-aish-o-jaah ne tadbeer-e-wehshat ki Hua jaam-e-zumurrud bhi mujhe daagh-e-palang aakhir Khat-e-naukhez neel-e-chashm-e-zakhm-e-saafi-e-aariz Liya aaina ne hirz-par-e-toti bachang aakhir Hilaal-aasa tahi reh gar kushaadan-haaye-dil chaahe Hua mah kasrat-e-sarmaaya-andozi se tang aakhir Tadap kar mar gaya woh said-e-baal-afshaan ke muztar tha Hua naasoor-e-chashm-e-taaziyat chashm-e-khadang aakhir Likhi yaaron ki bad-masti ne maikhaane ki paamaali Hui qatra-fishaani-haaye-mai baaraan-e-sang aakhir Asad parde mein bhi aahang-e-shauq-e-yaar qaayam hai Nahin hai naghme se khaali khameedan-haaye-chang aakhir