Sad jalwa roo-ba-roo hai jo muzhgan uthaiye
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 175 chapter_title: "Sad jalwa roo-ba-roo hai jo muzhgan uthaiye" chapter_slug: "175-sad-jalwa-roo-ba-roo-hai-jo-muzhgan-uthaiye" variant_id: "744930eb-59ac-4a9f-818f-a0c03e0c9687" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 49 estimated_read_time: 1
Sad jalwa roo-ba-roo hai jo muzhgan uthaiye Taqat kahan ke deed ka ehsaan uthaiye
Hai sang par baraat-e-maash-e-junoon-e-ishq Yaani hanoz minnat-e-tiflaan uthaiye
Deewar baar-e-minnat-e-mazdoor se hai kham Aye khanumaan-kharaab na ehsaan uthaiye
Ya mere zakhm-e-rashk ko ruswa na kijiye Ya parda-e-tabassum-e-pinhaan uthaiye
Hasti fareb-naama-e-mauj-e-saraab hai Yak umr naaz-e-shokhi-e-unwaan uthaiye