Sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gayin
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 174 chapter_title: "Sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gayin" chapter_slug: "174-sab-kahan-kuch-lala-o-gul-mein-numayan-ho-gayin" variant_id: "9cf64b9c-2968-4673-a61f-fdf2ca5e482d" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 268 estimated_read_time: 2
Sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gayin Khaak mein kya suratein hon-gi ke pinhan ho gayin
Yaad theen hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan Lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisiyan ho gayin
Theen banat-un-naash-e-gardoon din ko parde mein nihan Shab ko un ke jee mein kya aayi ke uriyan ho gayin
Qaid mein Yaqoob ne li go na Yusuf ki khabar Lekin aankhein rozan-e-deewar-e-zindaan ho gayin
Sab raqeebon se hon na-khush par zanan-e-Misr se Hai Zulekha khush ke mehv-e-mah-e-Kinaan ho gayin
Joo-e-khoon aankhon se behne do ke hai sham-e-firaaq Main yeh samjhun-ga ke sham'ein do farozan ho gayin
In pari-zaadon se len-ge khuld mein hum inteqaam Qudrat-e-haq se yahi hoorein agar waan ho gayin
Neend us ki hai dimaagh us ka hai raatein us ki hain Teri zulfein jis ke baazu par pareshaan ho gayin
Main chaman mein kya gaya goya dabistaan khul gaya Bulbulein sun kar mere naale ghazal-khwaan ho gayin
Woh nigahein kyun hui jaati hain ya Rab dil ke paar Jo meri kotahi-e-qismat se mizhgaan ho gayin
Bas ke roka maine aur seene mein ubhreen pay-ba-pay Meri aahein bakhiya-e-chaak-e-gareebaan ho gayin
Waan gaya bhi main toh un ki gaaliyon ka kya jawaab Yaad theen jitni duayein sarf-e-darbaan ho gayin
Jaan-faza hai baada jis ke haath mein jaam aa gaya Sab lakeerein haath ki goya rag-e-jaan ho gayin
Hum muwahhid hain hamara kaish hai tark-e-rusoom Millatein jab mit gayin ajzaa-e-eemaan ho gayin
Ranj se khoogar hua insaan toh mit jaata hai ranj Mushkilein mujh par padeen itni ke aasaan ho gayin
Yoon hi gar rota raha 'Ghalib' toh aye ehl-e-jahan Dekhna in bastiyon ko tum ke veeraan ho gayin