Na hoga yak-biyabaan maandagi se zauq kam mera
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 145 chapter_title: "Na hoga yak-biyabaan maandagi se zauq kam mera" chapter_slug: "145-na-hoga-yak-biyabaan-maandagi-se-zauq-kam-mera" variant_id: "a2d17b8e-ff33-4f71-b7d1-b3c070b44d1d" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 79 estimated_read_time: 1
Na hoga yak-biyabaan maandagi se zauq kam mera Hubaab-e-mauja-e-raftaar hai naqsh-e-qadam mera
Muhabbat thi chaman se lekin ab yeh be-dimaaghi hai Ke mauj-e-boo-e-gul se naak mein aata hai dam mera
Reh-e-khwaabeeda thi gardan-kash-e-yak-dars-aagahi Zameen ko sili-e-ustaad hai naqsh-e-qadam mera
Suraagh-e-aawaara-e-arz-e-do-aalam shor-e-mehshar hoon Par-afshaan hai ghubaar aan soo-e-sehraa-e-adam mera
Hawaa-e-subah yak-aalam garebaan chaaki-e-gul hai Dahaan-e-zakhm paida kar agar khaata hai gham mera
Na ho wehshat-kash-e-dars-e-saraab-e-satr-e-aagahi Main gard-e-raah hoon be-mudda'a hai pech-o-kham mera
Asad wehshat-parast-e-gosha-e-tanhaai-e-dil hai Ba-rang-e-mauj-e-mai khamyaaza-e-saaghar hai ram mera