Meri hasti fazaaye hairat-abaad-e-tamanna hai
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 137 chapter_title: "Meri hasti fazaaye hairat-abaad-e-tamanna hai" chapter_slug: "137-meri-hasti-fazaaye-hairat-abaad-e-tamanna-hai" variant_id: "15b04115-88db-4589-bd4f-36839585e43f" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 173 estimated_read_time: 1
Meri hasti fazaaye hairat-abaad-e-tamanna hai Jise kehte hain naala woh isi aalam ka anqa hai
Khizaan kya fasl-e-gul kehte hain kis ko koi mausam ho Wohi hum hain qafas hai aur maatam baal-o-par ka hai
Wafa-e-dilbaraan hai ittefaaqi warna ae humdum Asar faryaad-e-dil-haaye-hazin ka kis ne dekha hai
Na laayi shokhi-e-andesha taab-e-ranj-e-naumeedi Kaf-e-afsos milna ahd-e-tajdeed-e-tamanna hai
Na sowe aablon mein gar sirishk-e-deeda-e-num se Ba-jaulaan-gaah-e-naumeedi nigaah-e-aajizaan pa hai
Ba-sakhti-haaye-qaid-e-zindagi maloom azaadi Sharar bhi said-e-daam-e-rishta-e-rag-haaye-khaara hai
Taghaaful-mashrabi se na-tamaami baske paida hai Nigaah-e-naaz chashm-e-yaar mein zunnaar-e-meena hai
Tasarruf vehshiyon mein hai tasavvur-haaye-majnoon ka Sawaad-e-chashm-e-aahu aks-e-khaal-e-ru-e-laila hai
Mohabbat tarz-e-paiwand-e-nihaal-e-dosti jaane Daveedan resha-saan muft-e-rag-e-khwaab-e-zulekha hai
Kiya yak-sar gudaaz-e-dil niyaaz-e-joshish-e-hasrat Suwaida nuskha-e-teh-bandi-e-daagh-e-tamanna hai
Hujoom-e-rezish-e-khoon ke sabab rang udh nahin sakta Hinaa-e-panja-e-sayyad murgh-e-rishta bar-paa hai
Asar soz-e-mohabbat ka qayaamat be-mahaaba hai Ke rag se sang mein tukhm-e-sharar ka resha paida hai
Nihaan hai gauhar-e-maqsood jaib-e-khud-shanaasi mein Ke yaan ghawwaas hai timsaal aur aaina darya hai
Azeezo zikr-e-vasl-e-ghair se mujh ko na behlaao Ke yaan afsoon-e-khwaab afsaana-e-khwaab-e-zulekha hai
Tasavvur behr-e-taskeen-e-tapeendan-haaye-tifl-e-dil Ba-baagh-e-rang-haaye-rafta gul-cheen-e-tamaasha hai
Ba-sa'i-e-ghair hai qata-e-libaas-e-khaana-veeraani Ke naaz-e-jaada-e-reh rishta-e-daamaan-e-sehra hai