Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    Mehram nahin hai tu hi nawa-haaye-raaz ka

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 136 chapter_title: "Mehram nahin hai tu hi nawa-haaye-raaz ka" chapter_slug: "136-mehram-nahin-hai-tu-hi-nawa-haaye-raaz-ka" variant_id: "157c87fe-8f4a-4dae-ad8e-8b6331d65498" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 85 estimated_read_time: 1

    Mehram nahin hai tu hi nawa-haaye-raaz ka Yaan warna jo hijaab hai parda hai saaz ka

    Rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazaara hai Yeh waqt hai shaguftan-e-gul-haaye-naaz ka

    Tu aur su-e-ghair nazar-haaye-tez tez Main aur dukh teri mizha-haaye-daraaz ka

    Sarfa hai zabt-e-aah mein mera wagarna main Tu'ma hoon ek hi nafas-e-jaan-gudaaz ka

    Hain baski josh-e-baada se sheeshe uchhal rahe Har gosha-e-bisaat hai sar sheesha-baaz ka

    Kaavish ka dil kare hai taqaaza ke hai hanoz Naakhun pe qarz us girah-e-neem-baaz ka

    Taaraaj-e-kaavish-e-gham-e-hijraan hua Asad Seena ke tha dafeena gohar-haaye-raaz ka