Latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 124 chapter_title: "Latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti" chapter_slug: "124-latafat-be-kasafat-jalwa-paida-kar-nahin-sakti" variant_id: "fa790c21-b219-4c02-b75c-2808127ec9bd" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 70 estimated_read_time: 1
Latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti Chaman zangaar hai aaina-e-baad-e-bahaari ka
Hareef-e-joshish-e-dariya nahin khuddari-e-sahil Jahaan saqi ho to baatil hai da'wa hoshiyari ka
Bahaar-e-rang-e-khoon-e-gul hai saamaan ashk-baari ka Junoon-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahaari ka
Baraaye-hal-e-mushkil hoon za-paa uftaada-e-hasrat Bandha hai uqda-e-khaatir se paimaan khaaksaari ka
Ba-waqt-e-sarnigooni hai tasavvur intezaaristaan Nigah ko aablon se shughl hai akhtar-shumaari ka
Asad saaghar-kash-e-tasleem ho gardish se gardoon ki Ke nang-e-fahm-e-mastaan hai gila bad-rozgaari ka