Kahoon jo haal to kehte ho mudda'a kahiye
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 104 chapter_title: "Kahoon jo haal to kehte ho mudda'a kahiye" chapter_slug: "104-kahoon-jo-haal-to-kehte-ho-muddaa-kahiye" variant_id: "33b8fc2b-bc7d-40c2-8596-ec28aea8222f" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 147 estimated_read_time: 1
Kahoon jo haal to kehte ho mudda'a kahiye Tumheen kaho ke jo tum yun kaho to kya kahiye
Na kahiyo ta'an se phir tum ke hum sitam-gar hain Mujhe to khoo hai ke jo kuch kaho baja kahiye
Voh neshtar sahi par dil mein jab utar jaave Nigaah-e-naaz ko phir kyun na aashna kahiye
Nahin zariya-e-raahat jaraahat-e-paikaan Voh zakhm-e-tegh hai jis ko ke dil-kusha kahiye
Jo mudda'i bane us ke na mudda'i baniye Jo na-saza kahe us ko na na-saza kahiye
Kaheen haqeeqat-e-jaan-kaahi-e-marz likhiye Kaheen museebat-e-na-saazi-e-dawa kahiye
Kabhi shikayat-e-ranj-e-giraan-nisheen keeje Kabhi hikayat-e-sabr-e-garez-pa kahiye
Rahe na jaan to qaatil ko khoon-baha deeje Kate zubaan to khanjar ko marhaba kahiye
Nahin nigaar ko ulfat na ho nigaar to hai Ravaani-e-ravish o masti-e-ada kahiye
Nahin bahaar ko fursat na ho bahaar to hai Taraavat-e-chaman o khoobi-e-hawa kahiye
Safeena jab ke kinaare pe aa laga Ghalib Khuda se kya sitam-o-jaur-e-na-khuda kahiye