Kushaada dast-e-karam jab woh beniyaaz kare
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 6 chapter_title: "Kushaada dast-e-karam jab woh beniyaaz kare" chapter_slug: "06-kushaada-dast-e-karam-jab-woh-beniyaaz-kare" variant_id: "8c7d71a2-a089-4af7-a4ce-dc4c7bf05971" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 135 estimated_read_time: 1
Kushaada dast-e-karam jab woh beniyaaz kare Niyaazmand na kyun aajizi pe naaz kare Bitha ke arsh pe rakkha hai tu ne ae waaiz! Khuda woh kya hai jo bandon se ehtiraaz kare Meri nigaah mein woh rind hi nahin saaqi Jo hoshiyaari o masti mein imtiyaaz kare Madaam gosh ba-dil reh, yeh saaz hai aisa Jo ho shikasta toh paida nawaa-e-raaz kare Koi yeh poochhe ke waaiz ka kya bigadta hai Jo be-amal pe bhi rehmat woh beniyaaz kare Sukhan mein soz, Ilaahi kahaan se aata hai Yeh cheez woh hai ke patthar ko bhi gudaaz kare Tameez-e-laala-o-gul se hai naala-e-bulbul Jahaan mein waa na koi chashm-e-imtiyaaz kare Ghuroor-e-zohd ne sikhla diya hai waaiz ko Ke bandgaan-e-Khuda par zabaan daraaz kare Hawa ho aisi ke Hindustaan se ae Iqbal Udaa ke mujh ko ghubaar-e-rah-e-Hijaaz kare