Kya kahun apne chaman se main juda kyonkar hua
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 7 chapter_title: Kya kahun apne chaman se main juda kyonkar hua chapter_slug: "07-kya-kahun-apne-chaman-se-main-juda-kyonkar-hua" variant_id: "50b6533c-ad09-4fbd-a8b8-1832fa12067c" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 158 estimated_read_time: 1
Kya kahun apne chaman se main juda kyonkar hua Aur aseer-e-halqa-e-daam-e-hawa kyonkar hua
Jaaye hairat hai bura saare zamaane ka hoon main Mujh ko yeh khil'at sharaafat ka ata kyonkar hua
Kuch dikhane dekhne ka tha taqaza Tur par Kya khabar hai tujh ko ae dil faisla kyonkar hua
Hai talab be-mudda'a hone ki bhi ik mudda'a Murgh-e-dil daam-e-tamanna se riha kyonkar hua
Dekhne waale yahan bhi dekh lete hain tujhe Phir yeh waada-e-hashr ka sabr-aazma kyonkar hua
Husn-e-kaamil hi na ho is be-hijaabi ka sabab Woh jo tha pardon mein pinhaan, khud-numa kyonkar hua
Maut ka nuskha abhi baaqi hai ae dard-e-firaaq! Chaaragar deewana hai, main la-dawa kyonkar hua
Tu ne dekha hai kabhi ae deeda-e-ibrat ke gul Ho ke paida khaak se rangeen-qaba kyonkar hua
Pursish-e-aamaal se maqsad tha ruswai meri Warna zaahir tha sabhi kuch, kya hua, kyonkar hua
Mere mitne ka tamasha dekhne ki cheez thi Kya bataun un ka mera saamna kyonkar hua