kya gharaz laakh khudaai mein hon daulat waale
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 60 chapter_title: kya gharaz laakh khudaai mein hon daulat waale chapter_slug: "60-kya-gharaz-laakh-khudaai-mein-hon-daulat-waale" variant_id: "71792424-d3e3-4b17-bbcd-77e846cbb9c1" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 282 estimated_read_time: 2
kya gharaz laakh khudaai mein hon daulat waale un ka banda hoon jo bande hain mohabbat waale
chaahen gar chaara-e-jaraahat ka mohabbat waale bechen almaas o namak sang-e-jaraahat waale
gaye jannat mein agar soz-e-mohabbat waale toh yeh jaano rahe dozakh hi mein jannat waale
saaqiya hon jo suboohi ki na aadat waale subh-e-hashr ko bhi uthein na tere matwaale
dukhtar-e-raz ko nahin chhedte hain matwaale hazar is faahisha se karte hain hurmat waale
rahe joon sheesha-e-sa'at woh mukaddar donon kabhi mil bhi gaye do dil jo kudurat waale
kis marz ki hain dawa yeh lab-e-jaan-bakhsh tere jaan-ba-lab hain tere aazaar-e-mohabbat waale
hirs ke phailte hain paaon ba-qadr-e-vus'at tang hi rehte hain duniya mein faraaghat waale
haaye re hasrat-e-deedar meri haaye ko bhi likhte hain haaye-do-chashmi se kitaabat waale
nahin juz shama mujaavir meri baalin-e-mazaar nahin juz kasrat-e-parwaana ziyaarat waale
na shikaayat hai karam ki na sitam ki khwaahish dekh toh hum bhi hain kya sabr o qana'at waale
kya tamaasha hai ke misl-e-mah-e-nau apna farogh jaante apni haqaarat ko hain shohrat waale
dil se kuch kehta hoon main mujh se hai kuch kehta dil donon ik haal mein hain ranj o museebat waale
tu gar aa jaaye toh ae dard-e-mohabbat ki dawa mere hamdard hon be-dard fazeehat waale
chhod dete hain qalam joon qalam-e-aatish-baaz meri sharah-e-tapish-e-dil ki kitaabat waale
kabhi afsos hai aata kabhi rona aata dil-e-beemaar ke hain do hi ayaadat waale
tu mere haal se ghaafil hai par ae ghaflat-kesh tere andaaz-e-taghaaful nahin ghaflat waale
hum ne dekha hai jo us but mein nahin keh sakte ke mubaada kahin sun paayen shari'at waale
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman mein ae 'Zauq' us ne dekhe hi nahin naaz-o-nazaakat waale