Hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kehne ko hain
19th Century Sheikh Ibrahim Zauq Urdutransliterator: thothica
work_id: "0fa79898-d38f-4725-91d2-05e4c28435c9" work_slug: "sheikh-ibrahim-zauq-diwan-e-zauq-0fa798" work_title: "Diwan-E-Zauq" author_name: Sheikh Ibrahim Zauq chapter_number: 19 chapter_title: Hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kehne ko hain chapter_slug: "19-hain-dahan-ghunchon-ke-wa-kya-jaane-kya-kehne-ko-h" variant_id: "3d257639-635a-4146-978d-1b2729d9fcfb" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 122 estimated_read_time: 1
Hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kehne ko hain Shaayad us ko dekh kar sall-e-ala kehne ko hain
Wasf-e-chashm o wasf-e-lab us yaar ka kehne ko hain Aaj hum dars-e-isharaat-o-shifa kehne ko hain
Aaj un se muddai kuchh muddaa kehne ko hain Par nahin maaloom kya kahwein ge kya kehne ko hain
Jo woh qad-o-qaamat sada kehne ko hain Aur aashiq wasf-e-qad-o-qaamat tera kehne ko hain
Poochh aa qaatil se toh woh kab karega hum ko qatl Aaj hum taareekh-e-marg aap ae qazaa kehne ko hain
Main tere haathon ke qurbaan waah kya maare hain teer Sab dahan-e-zakhm munh se marhaba kehne ko hain
Woh janaaze par mere kis waqt aaye dekhna Jab ke izn-e-aam mere aqraba kehne ko hain