Juz Qais aur koi na aaya ba-ru-e-kaar
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 99 chapter_title: "Juz Qais aur koi na aaya ba-ru-e-kaar" chapter_slug: "99-juz-qais-aur-koi-na-aaya-ba-ru-e-kaar" variant_id: "76b040c3-ed24-480c-a18b-c655259cb30c" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 151 estimated_read_time: 1
Juz Qais aur koi na aaya ba-ru-e-kaar Sahra magar ba-tangi-e-chashm-e-hasood tha
Aashuftagi ne naqsh-e-suveda kiya durust Zaahir hua ke daagh ka sarmaya dood tha
Tha khwaab mein khayaal ko tujh se maamla Jab aankh khul gayi na ziyaan tha na sood tha
Leta hoon maktab-e-gham-e-dil mein sabaq hanoz Lekin yahi ke raft gaya aur bood tha
Dhaanpa kafan ne daagh-e-uyoob-e-barahangi Main varna har libaas mein nang-e-vajood tha
Teshe baghair mar na saka Koh-kan Asad Sargashta-e-khumaar-e-rusoom-o-quyood tha
Aalam jahaan ba-arz-e-bisaat-e-vajood tha Joon subah chaak-e-jaib mujhe taar-o-pood tha
Baazi-khur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq Hungama garm-e-hairat-e-bood-o-nabood tha
Aalam tilism-e-shehr-e-khamoshi hai sar-ba-sar Ya main ghareeb-e-kishwar-e-guft-o-shunood tha
Tangi rafeeq-e-reh thi adam ya vajood tha Mera safar ba-taala-e-chashm-e-hasood tha
Tu yak-jahaan qumaash-e-havas jama kar ke main Hairat-e-mataa-e-aalam-e-nuqsaan-o-sood tha
Gardish-e-muheet-e-zulm raha jis qadar falak Main paamaal-e-ghamza-e-chashm-e-kabood tha
Poochha tha garche yaar ne ahwaal-e-dil magar Kis ko dimaagh-e-minnat-e-guft-o-shunood tha
Khur shabnam-aashna na hua varna main Asad Sar-ta-qadam guzaarish-e-zauq-e-sujood tha