Husn-e-mah garche ba-hangaam-e-kamaal achha hai
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 80 chapter_title: "Husn-e-mah garche ba-hangaam-e-kamaal achha hai" chapter_slug: "80-husn-e-mah-garche-ba-hangaam-e-kamaal-achha-hai" variant_id: "437dd61c-df3a-4524-a538-f1dc999b73a9" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 169 estimated_read_time: 1
Husn-e-mah garche ba-hangaam-e-kamaal achha hai Us se mera mah-e-khurshid-jamaal achha hai
Bosa dete nahin aur dil pe hai har lehza nigaah Jee mein kehte hain ke muft aaye toh maal achha hai
Aur bazaar se le aaye agar toot gaya Saaghar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achha hai
Be-talab dein toh maza uss mein siwa milta hai Woh gada jisko na ho khoo-e-sawaal achha hai
Unke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq Woh samajhte hain ke beemaar ka haal achha hai
Dekhiye paate hain ushshaaq buton se kya faiz Ik brahman ne kaha hai ke yeh saal achha hai
Hum-sukhan teshe ne Farhad ko Shireen se kiya Jis tarah ka ke kisi mein ho kamaal achha hai
Qatra dariya mein jo mil jaaye toh dariya ho jaaye Kaam achha hai woh jiska ke ma'aal achha hai
Khizr-e-sultaan ko rakhe khaaliq-e-akbar sarsabz Shah ke baagh mein yeh taaza nihaal achha hai
Hum ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin Dil ke khush rakhne ko Ghalib yeh khayaal achha hai