Husn ghamze ki kashakash se chhoota mere baad
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 78 chapter_title: Husn ghamze ki kashakash se chhoota mere baad chapter_slug: "78-husn-ghamze-ki-kashakash-se-chhoota-mere-baad" variant_id: "a83796a6-17c8-42bb-8252-8ffe1ab71684" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 146 estimated_read_time: 1
Husn ghamze ki kashakash se chhoota mere baad Baare aaraam se hain ahl-e-jafa mere baad
Mansab-e-sheftagi ke koi qaabil na raha Hui maazooli-e-andaaz-o-ada mere baad
Shama bujhti hai to uss mein se dhuaan uthta hai Shola-e-ishq siyah-posh hua mere baad
Khoon hai dil khaak mein ahvaal-e-butaan par yaani Un ke naakhun hue mohtaaj-e-hina mere baad
Dar-khur-e-arz nahin jauhar-e-bedaad ko jaa Nigah-e-naaz hai surme se khafa mere baad
Hai junoon ahl-e-junoon ke liye aaghosh-e-vidaa Chaak hota hai garebaan se juda mere baad
Kaun hota hai hareef-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq Hai mukarrar lab-e-saaqi pe sala mere baad
Gham se marta hoon ke itna nahin duniya mein koi Ke kare taaziyat-e-mehr-o-wafa mere baad
Aaye hai bekasi-e-ishq pe rona Ghalib Kis ke ghar jaaye ga sailaab-e-bala mere baad
Thi nigah meri nihaan-khaana-e-dil ki naqaab Be-khatar jeete hain arbaab-e-riya mere baad
Tha main guldasta-e-ahbaab ki bandish ki giyaah Mutafarriq hue mere rufaqa mere baad