hawas ko hai nishaat-e-kaar kya kya
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 220 chapter_title: "hawas ko hai nishaat-e-kaar kya kya" chapter_slug: "220-hawas-ko-hai-nishaat-e-kaar-kya-kya" variant_id: "0507eecb-b817-4322-aedc-87ca8156e7e0" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 115 estimated_read_time: 1
hawas ko hai nishaat-e-kaar kya kya na ho marna toh jeenay ka maza kya
tajahul-peshgi se mudda'a kya kahan tak ae saraapa naaz kya kya
nawazish-haaye-be-ja dekhta hoon shikayat-haaye-rangeen ka gila kya
nigaah-e-be-muhaba chahta hoon taghaful-haaye-tamkeen-aazma kya
furogh-e-shoala-e-khas yak-nafas hai hawas ko paas-e-naamoos-e-wafa kya
nafas mauj-e-muheet-e-be-khudi hai taghaful-haaye-saqi ka gila kya
dimaagh-e-itr-e-pairaahan nahin hai gham-e-aawargi-haaye-saba kya
dil-e-har-qatra hai saaz-e-ana-al-bahr hum uss ke hain hamara poochna kya
muhaba kya hai main zaamin idhar dekh shaheedan-e-nigah ka khoon-baha kya
sun ae ghaarat-gar-e-jins-e-wafa sun shikast-e-sheesha-e-dil ki sada kya
kiya kis ne jigar-daari ka da'wa shakeb-e-khaatir-e-aashiq bhala kya
yeh qaatil waada-e-sabr-aazma kyun yeh kaafir fitna-e-taaqat-ruba kya
balaaye-jaan hai Ghalib uss ki har baat ibaarat kya ishaarat kya ada kya