Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 211 chapter_title: "arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha" chapter_slug: "211-arz-e-niyaaz-e-ishq-ke-qaabil-nahin-raha" variant_id: "60b9bccb-53f9-4bc0-8384-eaa5c3dff5f7" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 158 estimated_read_time: 1

    arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha

    jaata hoon daagh-e-hasrat-e-hasti liye huay hoon shama-e-kushta dar-khur-e-mehfil nahin raha

    marne ki ae dil aur hi tadbeer kar ke main shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahin raha

    bar-ru-e-shash-jehat dar-aaina baaz hai yaan imtiyaaz-e-naaqis-o-kaamil nahin raha

    waa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn ghair-az-nigaah ab koi haa'il nahin raha

    go main raha raheen-e-sitam-haaye-rozgaar lekin tere khayaal se ghaafil nahin raha

    dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit gayi ke waan haasil siwaaye hasrat-e-haasil nahin raha

    bedaad-e-ishq se nahin darta magar Asad jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha

    har-chand main hoon tuti-e-sheereen-sukhan wale aaina aah mere muqaabil nahin raha

    jaan-daad-gaan ka hausla fursat-gudaaz hai yaan arsa-e-tapidan-e-bismil nahin raha

    hoon qatra-zan ba-waadi-e-hasrat shabana roz juz taar-e-ashk jaada-e-manzil nahin raha

    ae aah meri khaatir-e-waabasta ke siwa duniya mein koi uqda-e-mushkil nahin raha

    andaaz-e-naala yaad hain sab mujh ko par Asad jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha